Добавьте этот текст песни в ваш персональный список песен.
Song By MUKESH
hota raha yunhi agar anjaam wafaa ka
legaa na zamaane mein koi naam wafaa ka
sindoor ki laali hai kisi ke suhaag mein
jeete jee jal rahaa hai koi ghum ki aag mein
is ke siwaa hogaa bhi kyaa anjaam wafaa ka
legaa na zamaane mein koi
jaa kar nahin aanaa jise kyon dekhen wo mudake
milate nahin humraahi doraahe pe beechhad ke
maalum hai hotaa hai jo anjaam wafaa ka
legaa na zamaane mein koi
kasame nahin nibhati, dhare rahe jaate hai waa' de
ye ret ki deewaar hai jo chahe giraa de
sou kaam jafaaon ke hai, ek kaam wafaa ka
legaa na zamaane mein koi
Posted by: purnima
Для быстрого перехода к нужной песне вы можете добавлять в этот список любые тексты песен. Данный список автоматически сохраняется на вашем компьютере.